Ek Chhoti Si Baat...
Agar aap yahan tak aaye hain,
to dil se shukriya.
Shayad aap Bihar se hain.
Shayad nahi bhi.
Lekin agar Thekua ka naam sunte hi
ghar yaad aa gaya ho, to samajhiye
hum ek hi kahani ke do hisse hain.
Hum chahte hain ki jab dabba khule,
to sirf mithaas nahi... thoda sa ghar bhi
saath nikle.